आज के समय में wireless Earbuds हर किसी की जरुरत बन गए हैं चाहे तुम musicसुनो gaming करो calls attend करो ek acche Earbuds का होना बहुत जरूरी है इसी को ध्यान में रखते हुए Oneplus ने अपने नए Oneplus Nord Buds 4 Pro launch kiye Hain Jo budget mein premium feature देने का Promise करते हैं
Colour ( with Design & Look )
Oneplus note Buds 4 Pro 2 stylus colour mein aate Hain Radiant Gray aur Raven Black donon hi color kafi premium feel dete Hain Radiant Gray thoda modern or shiny look deta Hai jabki Raven Black simple aur class hi lagta hai agar tumko minimal design pasand hai to black best rahega aur agar thoda alag log chahie to Gray choose kar sakte ho.
Size & Weight ( Comfort Experience )
In earbuds ka size kafi compact Rakha Gaya Hai jisse yah aasani se ear me fit Ho jaate Hain earbud ka weight lagbhag 4.4 gram hai jo kafi lightweight hai iska matlab tum inhen long time tak use kar sakte ho Bina discomfort ke charging case bhi jyada heavy nahin hai isliye pocket mein carry karna aasan hai
Audio Quality ( Sound Experience )
OnePlus Nord Buds 4 Pro me 12 mm dynamic driver diya gaya hai, jo powerful aur clear sound produce karta hai Iska frequency range 20Hz se 40kHz tak hai, iska bass bhi strong milega aur our highs bhi clear rahenge
Music sunte waqt tumhen deep bass feel hoga specially agar tum bass-heavy songs sunte ho Sathi vocals bhi clean sunai dete Hain Jo overall listening experience ko batter banata hai
Microphone ( Call Quality )
Ismein total 6 microphone diye Gaye Hain (har earbud me 3). Ye AI-based noise cancellation ke sath aate Hain jisse calls ke time background noise kam ho jata hai
Matlab agar tum bahar ho ya traffic mein ho tab bhi tumhari awaaz clear sunai degi yah feature daily use ke liye kafi useful hai
Battery ( Life long usage )
Battery performance is earbuds ka strong point Hai single charge per earbuds lagbhag 13 ghante chal jaate Hain (ANC off par). Aur agar charging case ke sath use karo to total 54 ghante Tak ka backup Mil jata Hai
Iska matlab tumhen बार-बार charge karne ki tension nahin hogi daily user ke liye yah kafi convenient hai
Charging ( Fast Charging support )
Charging time bhi kafi fast hai Earbudslagbhag 60 minut mein full charge ho jaate Hain aur case ke sath total 90 minut lagte Hain
ismein Type-C charging support Diya gaya hai jo aaj ke time mein standard hai fast charging hone ki vajah se thodi der charge karke bhi kafi use Mil jata Hai
Connectivity ( Smooth connection )
Latest Bluetooth 6.0 ke sath aate Hain Jo stable or fast connection provide karta hai iska range lagbhag 10 meter tak hai
ismein dual device connection bhi diya Gaya Hai Jaise Tum ek Hi time mein do device connect kar sakte ho Jaise phone aur laptop yah feature kafi useful hota Hai
Special Feature ( Smart Function )
Oneplus Ne ismein kafi advance feature diye Hain
- Real time active noise cancellation
- AI call noise cancellation
- 3D special audio
- Game mode audio
- Touch control & volume swipe
- AI translation & assistant
Yah sab feature isko ek premium feel dete Hain Jo normali is price range mein nahin milta
Build Quality ( Durability )
Ye earbuds IP55 rating ke saath aate Hain matlab yah Dust aur Water resistance hai tum inhen workout ya halka rem mein bhi use kar sakte ho Bina tension ke
In the box
Box ke andar tumhe milta hai:
- Extra ear tips ( S,M,L)
- Airbus plus charging case
- USB Type-C cable
- User manual
📊 Comparison Table
| Feature | OnePlus Nord Buds 4 Pro | Typical Budget Earbuds |
|---|---|---|
| Battery | 54 hours 🔥 | 20–30 hours |
| ANC | Yes ✅ | Limited / No |
| Mic | 6 AI Mics 🎤 | 2–4 mics |
| Charging | Fast Type-C ⚡ | Normal |
| Audio | 12mm driver 🔊 | 8–10mm |
Final verdict ( kharidna chahie ya nahin )
Agar Tum ek aise Earbuds dhundh Rahe Ho Jo
- Long Battery De
- Strong Bass De
- Calls ke liye achcha ho
👉 to OnePlus Nord Buds 4 Pro ek solid option hai.
is price range mein yah earbuds value for money lagte Hain aur daily use ke liye kafi perfect Hain
Conclusion
Overall dekha jaaye to yah Earbuds UN logon Ke liye kafi best Hain Jo budget mein premium experience chahte Hain chahe Tum student ho ya gamer Ho casual user yah sabke liye suitable hai

